18/02/2026
“Ae imaan walon! Tum par roza farz kiya gaya hai, jaisa tum se pehle logon par farz kiya gaya tha, taake tum taqwa ikhtiyar karo.”
(Surah Al-Baqarah 2:183)
“Jab Ramazan aata hai to jannat ke darwaze khol diye jate hain, jahannum ke darwaze band kar diye jate hain aur shayateen qaid kar diye jate hain.”
(Sahih Bukhari)
Allah is mubarak mahine ko aap aur aap ke ghar walon ke liye rehmat, barkat aur maghfirat ka zariya banaye.
Dua hai ke yeh Ramazan aap ke liye sukoon-e-dil, gunahon ki maafi aur nijaat ka sabab bane. Aameen.